Bashir Badr
"Aaya hi nahin hamko aahista guzar jaana Sheeshe ka muqaddar hai takraa key bikhar jaana Taaron ki tarah shab key seene mein utar jaana Aahat na ho qadmon ki is tarh guzar j aana Nashe mein sanbhalne ka fan yun hi nahin aata In zulfon se seekha hai lahra key sanwar jaana Bhar jaayenge aankhon mein aanchal se bandhe baadal Yaad aayega jab gul par shabnam ka bikhar jaana Har mod pe se do aankhen hamse yahi kahti hain Jis tarh bhi mumkin ho turn laut key ghar jaana Patthar ko mira saaya aaina sa chamka de J aana to mira sheesha yun dard se bhar j aana Ye chaand sitaare turn auron key liye rakh lo Ham ko yahin j eena hai ham ko yahin mar jaana Jab toot gaya rishta sar-sabz pahaadon se Phir tez hawaa jane kis ko hai kidhar jaana "- Padma Shree Bashir Badr