Bashir Badr




"Aaya hi nahin hamko aahista guzar jaana
Sheeshe ka muqaddar hai takraa key bikhar jaana
Taaron ki tarah shab key seene mein utar jaana
Aahat na ho qadmon ki is tarh guzar j aana
Nashe mein sanbhalne ka fan yun hi nahin aata
In zulfon se seekha hai lahra key sanwar jaana
Bhar jaayenge aankhon mein aanchal se bandhe baadal
Yaad aayega jab gul par shabnam ka bikhar jaana
Har mod pe se do aankhen hamse yahi kahti hain
Jis tarh bhi mumkin ho turn laut key ghar jaana
Patthar ko mira saaya aaina sa chamka de
J aana to mira sheesha yun dard se bhar j aana
Ye chaand sitaare turn auron key liye rakh lo
Ham ko yahin j eena hai ham ko yahin mar jaana
Jab toot gaya rishta sar-sabz pahaadon se
Phir tez hawaa jane kis ko hai kidhar jaana "- Padma Shree Bashir Badr

Comments

Popular posts from this blog

આકાશ ને થીંગડું મારી શકાય?

Book Review: 100 Selected Stories by O. Henry